Aa Ke Le Jaye...

Aa ke le jaye meri aankh ka paani mujh se
Kyon hasad karti hai darya ki rawani mujh se,

Gosht nakhun se akag kar ke dikhaya main ne
Us ne pochay thay judaai ke ma'ani mujh se,

Teri khushboo ki lahad par main bara tanha tha
Ro pari mil ke galay raat ki raani mujh se,

Khatam honay laga jab khoon bhi ashkon ki tarah
Kar gae khuwab meray naql makani mujh se,

Sirf ek shaks ke ghum main mujhay barbad na kar
Roz rotay howe kehti hai meri jawani mujh se...

0 comments: