Aazard Gaan-e-Shahar ka jesa bhi haal ho
Aey taar-e-khush dayaar tujhay kyon malaal ho
Ab baat dosti ki nahin hoslay ki hai
Lazim nahin ke tu bhi mera hum khayal ho,
Khud mera haath jab meri barbaadiyon main tha
Teri jabeen pe kyon arq-e-infi'aal ho
Phir tu ne cher di hai gai sa'atoon ki baat
Wo guftugu na kar ke tujhay bhi malaal ho,
Meri zaroraton se zyada karam na kar
Aisa sulook kar ke meray hasb-e-haal ho
Tota tu hoon magar abhi bikhra nahin Faraz
Meray badan pe jesay shikastoon ka jaal ho....

0 comments:
Post a Comment