Dil garifta hi sahi bazm sajali jaye
Yaad-e-jaana se koi shaam na khaali jaye,
Rafta rafta yehi zindaan main badal jatay hain
Ab kisi shahar ki bunyaad na daali jaye,
Mashaf-e-rukh hai kisi ka ke bayaaz-e-haafiz
Aisi chehray se kabhi faal nikaali jaye,
Wo murawwat se mila hai tu jhuka doon gardan
Meray dushman ka koi waar na haali jaye,
Bay nawa shahar ka saaya hai meray dil pe Faraz
Kis tarah se meri Aashafta khaali jaye....

0 comments:
Post a Comment