Abhi is taraf na nigah kar...

Abhi is taraf na nigah kar mai ghazal ki palkain pukaar sunwaar loon
Mera lafz lafz ho aaina tujhe aaiyenay main utaar loon,

Tu tamam din ka thaka howa main tamam shab ka jaga howa
Zara tahar ja kisi mor par Teray saath shaam guzaar loon,


Agar aasmaan ki numaish main mujhe bhi azaan-e-qayaam ho
Main motyoon ki dukaan se teri baaliyan tere haar loon,

Kayi ajnabi teri raah main mere paas se yun guzar gae
Jinhe dekh kar ye tarap hui tera naam le kar pukaar loon....

0 comments: