Apnay Ehsaas Ke....

Apnay ehsaas ke sub rung utar janay do
Meri ummeed Meray khuwab bikhar janay do,

Apnay aangan main chiraaghon ko jalao na abhi
Meray aangan main siyah raat utar janay do,

Badi mushkil se mila mujhko meray ghar ka pata
Raasto! ab tu na uljhao Ghar janay do,

Jin ke aanay se bahut shor phaila tha har su
Unhi lamhaat ko chup chaap guzar janay do,

Meri barbaadi ka ilzaam na aye tujh par
Meray haalat ko kuch aur bigar jaanay do....

0 comments: