Bheegi January...

Wohi galiyan wohi kochay wohi sardi ka mousam hai
Usi andaaz se apna nizaam-e-zeest barham hai
Ye husn-e-ittefaaq aisa ke nikhri chaandni bhi hai
Wohi har simt veerani udaasi tishnagi bhi hai
Wohi beer sochon ki wohi tanhaaiyaan phir se
Mujhay sub yaad hai kuch saal pehle ka ye qissa hai
Wohi lamhay tu veeranay ka ek aabad hain
Meri aankhon main wo lamhau mojod ab bhi hain
Wo zinda aat meray saath lakhoon baar jagi hai
Kisi ne raat ki chunri main roshan chaand taanka tha
Chamaktay se jugnu'on ka ek sail bakhsha tha raatoon ko
Dharakta sa naya unwaan diya tha meray khuwaboon ko
Meray shairoon main wo ilhaam ki soorat utra tha
Ma'nay ban ke jo lafzon main pehli baar dharka tha
Wo jis ke honay se zindagi naghma saraai hai
Usay kehna ke bheegi january phir lout ayi hai....

0 comments: