Kahani sirf itni hai
main sachai se dar kar
Neend ki waadi main rehti thi
Wo khuwaab ke bikhar janay se darta tha
So'w...... Bay khuwabi ka raahi tha
Howa kuch yun....!!
Main ek shab Ke kinaray se
Achanak khuwaab nagri se nikal a'i
Na janay konsa jaadu tha us pal main
Ke... Us bay khuwaab raahi ko
Sitara jaan kar aankhon main bhar la'i
Usi shab se
Wo mah'u khuwaab hai aankhon ke bistar par
Aur... Mujhko neend nagri ka
Koi rasta nahin milta....!!!
main sachai se dar kar
Neend ki waadi main rehti thi
Wo khuwaab ke bikhar janay se darta tha
So'w...... Bay khuwabi ka raahi tha
Howa kuch yun....!!
Main ek shab Ke kinaray se
Achanak khuwaab nagri se nikal a'i
Na janay konsa jaadu tha us pal main
Ke... Us bay khuwaab raahi ko
Sitara jaan kar aankhon main bhar la'i
Usi shab se
Wo mah'u khuwaab hai aankhon ke bistar par
Aur... Mujhko neend nagri ka
Koi rasta nahin milta....!!!
By: Kanwal Hussain

0 comments:
Post a Comment