Dheeray Dheeray....

Dheeray dheeray raat ne palkain moonhdh leen apni
Aur ki waadi main
Khoya khoya sa sannata
Khuwab nagar main gum lagta hai
Chand ke chehray par raqsaan
Thakan, choor aur tanhai
Bay kal sa madham lagta hai
Lekin jaana!
Dekh lo aakar
Koi ab tak jaag raha hai...

By: Fakhira Batool

0 comments: