Ek Waqi'a...

Andhyari raat ke aangan main
Ye subah ke qadmon ki aahat
Ye bheegi bheegi sard hawa
Ye halki halki dhundlahat
Gari main hoon tanha mah'o safar
Aur neend nahin hai aankhoon main
Bhoolay bisray armaanon ke
Khuwaboon ki zameen hai aankhon main
Aglay din hath hilaatay hain
Pichli peetin yaad aati hain
Gum ghashta khushyaan aankhon main
Aanso ban kar lahraati hain
Seenay ke weeran goshon main
Ek tais si karwat leti hai
Wo rahain zahen main ghoomti hain
Jin raahon se aaj aaya hoon
Kitni ummeed se puhncha tha
Kitni mayoosi laya hoon....

By: Sahir Ludhyanwi

0 comments: