- Faraz Main Usay Kis Dil Se Bewafa Kehdoon
Wo Bewafa Tu Nahi Bewafaon Jesa Hai.... - Zindagi Tu Apnay Hi Qadmon Pay Chalti Hai Faraz
Auroon ke Saharay Tu Janazay Utha Kartay Hain... - Nahin Fursat Yaqeen Maano Mujhay Kuch Aur Karnay Ki
Teri Yaadain Teri Baatain Bara Masroof Rakhti Hain... - Ab Bhi Ojhal Hai Nigaahon Se Nishaan-e-Manzil
Zindagi Tu Hi Bata Kitna Safar Baqi Hai.... - Ab Milengay Tu Khoob Rulayengay Usko Faraz
Suna Hai Rotay Main Usay Lipatnay Ki Aadat hai.... - Yeh Wafa Tu Un Dinoon Ki Baat Hai Faraz
Jab Log Sachay Aur Makaan Kachay Howa KArtay Thay... - Wafa Ki Laaj Main Usko Manaletay Tu Acha Tha
Ana Ki Jung Main Aksar Judaai Jeet Jaati hai... - Tujhay Bhoolanay Ke Liye Ek Pal Hi Kaafi Hai
Wo Ek Pal, Jisay Log Mout Kehtay Hain.... - Ab Ke Karna Tu Kisi Aisay Ki Chahat Karna
Jisko Aata Hi Na Ho Shikwa Shikayat Karna
Pehlay Khushboo Ke Mizaajon Ko Parakhlo Faraz
Phir Gulistaan Main Kisi Gul Se Muhabbat Karna... - Jo Udaas hain Teray Hijr Main Jinhain Bojh Lagti Hai Zindagi
Sar-e-bazm Yun Unhain Dekh Kar Tera Munh Chupanay Ka Shukriya
Jo Zamanay Bhar Ka Usool Tha Wo Usool Tu Nay Nibha Diya
Yehi Rasm Tehraygi Mu'tabar Mujhay Bhool Janay Ka Shukriya.... - Meri Muhabbat Ki Sirf Itni Si Kahani Hai
Tooti Hui Kashti Aur Tehra Howa Paani Hai
Ek Gulaab Unki Kitaab Main Dum Tirr Chuka Hai
Aur Unko Yaad Bhi Nahin Ke Ye Kis Ki Nishani Hai.... - Maang Kabhi Ulfat Main Jaan Bhi Humsay
Hum Teri Baat Ko Taala Nahin kartay
Tasdeeq Jo karni Ho Tu Ajao Kisi Din
Teray Bina Hum Ghar Main Ujala Nahin kartay..... - Meray Kiye Tu Harf-e-Dua Higaya Wo Shaks
Saaray Dukhin ki Jesay Dawa Hogaya Wo Shaks
Main Aasman Pe Tha Tu Zameen Ki Kashish Tha Wo
Utra Zameen Pe Tu Hawa Hogaya Wo Shaks.... - Andheri Raat Main Rehtay Tu Kitna Acha Tha
Hum Apni Zaat Main Rehtay Tu Kitna Acha Tha
Dukhon Ne Baant Liya Hai Tumharay Ba'ad Humain
Tumharay Haath Main Rehtay Tu Kitna Acha Tha....
Ash'aar
Labels:
M. Waqas Collection,
Other Poets

0 comments:
Post a Comment