Dil Kabhi Soorat-e-Haal Se...

Dil kabhi soorat-e-haal se baahar na gaya
Main muhabbat main bhi auqaat se baahar na gaya,

Ek tu ke jahan bhar se ta'alluq tera
Ek main ke teri zaat se baahar na gaya,

Marhala tujh se judaai ka bhi aa puhncha magar
Main abhi pehli mulaqat se baahar na gaya,

Soch koi teri soch se hut kar kar sochi
Tazkarah koi teri baat se baahar na gaya,

Aao sooraj ko batatay hain ke jalna kya hai
Chaand kya janay ye khud raat se baahar na gaya....

0 comments: