Main Jo Mehka Tu....

Main jo mehka tu meri shaakh jala di usnay
Sabz mosam main mujhay zard hawa di usnay,

Pehle ek lamhay ki se bandha mujhko
Aur waqt ki raftar barhadi usnay,

Us kay honay se theen saansain meri dugni shayad
Wo jo bichra tu meri umr ghata di usnay,

Janta tha mujhe mout sukoon bakhshay gi
Wo sitamgar tha mujhe jeenay ki dua di usnay....

0 comments: