Hum Tu Yun Khush Thay...

Hum tu yun khush thay ke ek taar garebaan main hai
Kya khabar thi ke bahaar us ke bhi armaan main hai

Ek zarb aur bhi aey zindagi-e-tesha badast
Saans lenay ki sakat ab meri jaan main hai

Main tujahy kho ke bhi zinda hoon ye dekha tu ne
Kis qadar hosla haaray howe insaan main hai

Faaslay qurb ke shu'loon ko hawa detay hain!
Main teray shahar se door aur tu meray dhiyaan main hai

Sar deewar farozaan hai abhi ek chiraagh
Aey naseem-e-sahri! kuch teray imkaan main hai???

0 comments: