Khuli aankhon ye kesa khuwaab meray saamnay hai
Diyay aangan se lekar aasmaan tak
Gulaab-e-taaza ki khushboo chaman se sahen tak
Biloorein jaam
Aur us main damekti surkh ma'e
Aur uske nashay se faroozan unka chehra
Sitaaron se bana mera libaada
Sarapa iztiraab ek shaahzada
Farsh par sham'ain jalata ek wada
Diloon ke voilen par
Walls kartay do badan
Aur us ke shaanon par rakhay sar
Zindagi se
Neem sargoshi main ek baat duhraati hui
Khushboo'ay lab
Aur uska jaadu
Gajar bajtay hi aadhi raat ka
Ye khuwaan yakdam toot jata hai
Sitaaron se bana mera malboos
Phir khas-u-khashaak ho jata hai
Mera rath achanak toot jata hai
meray sheeshay ki jooti raq gaah main choot jati hai
magar agi sahar meri taraf
Shaahi mahel se koi qaasid
Dosray paon ki furqat main nahin aata...!!!
Diyay aangan se lekar aasmaan tak
Gulaab-e-taaza ki khushboo chaman se sahen tak
Biloorein jaam
Aur us main damekti surkh ma'e
Aur uske nashay se faroozan unka chehra
Sitaaron se bana mera libaada
Sarapa iztiraab ek shaahzada
Farsh par sham'ain jalata ek wada
Diloon ke voilen par
Walls kartay do badan
Aur us ke shaanon par rakhay sar
Zindagi se
Neem sargoshi main ek baat duhraati hui
Khushboo'ay lab
Aur uska jaadu
Gajar bajtay hi aadhi raat ka
Ye khuwaan yakdam toot jata hai
Sitaaron se bana mera malboos
Phir khas-u-khashaak ho jata hai
Mera rath achanak toot jata hai
meray sheeshay ki jooti raq gaah main choot jati hai
magar agi sahar meri taraf
Shaahi mahel se koi qaasid
Dosray paon ki furqat main nahin aata...!!!
By: Parween Shakir
0 comments:
Post a Comment