Khud Kalami...

Dekhay hi nahin wo lab-o-rukhsar wo gayso
Bas ek khanakti hui aawaz ka jaadu
Heraan-o-pareshan liye phirta hai bahr soo

Paband-e-tassawur nahin wo jalwa betaab
Ho dor tu jugno hai qareeb aye tu khushboo
Lahraye tu shu'la hai chanak jaye tu ghungro

Baandhay hain nigahon ne sadaon ke bhi manzar
Wo qahqahay jesay bhari barsaat main koo koo
Jesay koi qamri sar-e-shamshaad lab-e-joo

Aey dil teri baaton pe kahan tak koi jaye
Jazbaat ki dunya main kahan soch ke pehlo
Kab aye hain fatraak main wahshat zada aahoo....

0 comments: