Koi Baat Nahin...

Yehi wafa ka sila hai tu koi baat nahin
Yeh dard tumnay diya hai tu koi baat nahin,

Yehi bahut hai ke tum dekhtay ho saahil se
Safeena doob raha hai tu koi baat nahin,

Humain yeh darr hai ke tum bhi na saath chor chalo
Jahaan ne chor diya hai tu koi baat nahin,

Tumhi ne aayenay main dil mera banaya tha
Tumhi ne tor diya hai tu koi baat nahin,

Kis ki majaal hai ke kah\e mujhko deewana
agar yeh tum ne kaha hai tu koi baat nahin....

0 comments: