Tum jo aye thay tu har
cheez wahi thi
ke jo hai
aasmaaN hadd-e-nazar,
raahguzar raahguzar,
shishaah-e-mai,
shishaah-e-mai
aur ab
shishaah-e-mai,
raahguzar,
rang-e-falak
rang hai dil ka mere,
"Khoon-e-jigar honay tak"
champaa'i rang kabhi,
rahat-e-didaar ka rang
sur'ma'i rang kabhi,
sa'at-e-bezaar ka rang
zard patton ka
xas-o-xaar ka rang
surkh phoolon ka,
dahakte huwe gulzaar ka rang
zahar ka rang,
lahoo rang.
shab-e-taar ka rang
aasmaaN,
rahguzar,
shishaah-e-mai
koi bheega howa daaman,
koi dukhti hui rag
koi har lahzaah badaltaa howa aainah hai
ab jo aaye ho to thahro ke koi rang, koi rut koi shai
ek jagah par thahre
phir se ik baar har ik cheez wahi ho ke jo hai
aasmaan hadd-e-nazar,
rahguzar rahguzar,
shishaah-e-mai,
shishaah-e-mai
cheez wahi thi
ke jo hai
aasmaaN hadd-e-nazar,
raahguzar raahguzar,
shishaah-e-mai,
shishaah-e-mai
aur ab
shishaah-e-mai,
raahguzar,
rang-e-falak
rang hai dil ka mere,
"Khoon-e-jigar honay tak"
champaa'i rang kabhi,
rahat-e-didaar ka rang
sur'ma'i rang kabhi,
sa'at-e-bezaar ka rang
zard patton ka
xas-o-xaar ka rang
surkh phoolon ka,
dahakte huwe gulzaar ka rang
zahar ka rang,
lahoo rang.
shab-e-taar ka rang
aasmaaN,
rahguzar,
shishaah-e-mai
koi bheega howa daaman,
koi dukhti hui rag
koi har lahzaah badaltaa howa aainah hai
ab jo aaye ho to thahro ke koi rang, koi rut koi shai
ek jagah par thahre
phir se ik baar har ik cheez wahi ho ke jo hai
aasmaan hadd-e-nazar,
rahguzar rahguzar,
shishaah-e-mai,
shishaah-e-mai
0 comments:
Post a Comment