Is se pehlay ke,
Teray dil ke aainay se,
Mera naam hamesha ke liye mit jaye,
Is se pehlay ke,
Teri aankhon se,
Ummeed ke saaray diye bujh jayen,
Is se pahlay ke,
Armaanon ki nanhi kaliyan,
Jal kar dhuwaan hojayen...
Is se pehlay ke bahaar ka mousam,
khatam ho,
Aur Khazaan shuro hojaye,
Jaana!!!
Main tayyar hoon!
Apni khataon ki talafi ke liye,
Teray nuqsaan ke iwaz,
Main har saza ke liye tayyar hoon,
Is se pehlay ke,
Teray aanchal ke rang pheekay Par jayen,
Main darmiyaan main khari,
"ANA" ki deewar gira deta hoon,
Main tumharay waastay...
Apni khudi chor deta hoon,
Aao Jaana!
Pichli batain bhula dain,
Saari zidain choor dain,
Tahoon main dafan aas ko,
Phir zinda karain,
Roshni ki kiran ko,
Muth'thi main qaid karain,
Aao jaana..!
mil kar iqraar karain,
Khushyoon ki nagri main,
Ek jahaan aabad Karen,
Aao jaana...!
Ek baar phir se,
Saath Chalain....
Teray dil ke aainay se,
Mera naam hamesha ke liye mit jaye,
Is se pehlay ke,
Teri aankhon se,
Ummeed ke saaray diye bujh jayen,
Is se pahlay ke,
Armaanon ki nanhi kaliyan,
Jal kar dhuwaan hojayen...
Is se pehlay ke bahaar ka mousam,
khatam ho,
Aur Khazaan shuro hojaye,
Jaana!!!
Main tayyar hoon!
Apni khataon ki talafi ke liye,
Teray nuqsaan ke iwaz,
Main har saza ke liye tayyar hoon,
Is se pehlay ke,
Teray aanchal ke rang pheekay Par jayen,
Main darmiyaan main khari,
"ANA" ki deewar gira deta hoon,
Main tumharay waastay...
Apni khudi chor deta hoon,
Aao Jaana!
Pichli batain bhula dain,
Saari zidain choor dain,
Tahoon main dafan aas ko,
Phir zinda karain,
Roshni ki kiran ko,
Muth'thi main qaid karain,
Aao jaana..!
mil kar iqraar karain,
Khushyoon ki nagri main,
Ek jahaan aabad Karen,
Aao jaana...!
Ek baar phir se,
Saath Chalain....

0 comments:
Post a Comment