Ek sang tarash jis ne barson
Heeron ki tarah sanam tarashay
Aaj apnay sanam kaday main tanha
Maboor nidhaal zakhm khoorda
Din raat para karaahta hai
Chehray pe ujaar zindagi ke
Lamhaat ki an ginat kharaashain
Aankhon ke shikasta marqadon main
Rothi huo hasraton ki lashain
Saanson ki thakan badan ki thandak
Ehsaas se kab talak laho lay
Hathon main kahan sakat ke barh kar
Khud saakhta paykaron ko cholay.....
Heeron ki tarah sanam tarashay
Aaj apnay sanam kaday main tanha
Maboor nidhaal zakhm khoorda
Din raat para karaahta hai
Chehray pe ujaar zindagi ke
Lamhaat ki an ginat kharaashain
Aankhon ke shikasta marqadon main
Rothi huo hasraton ki lashain
Saanson ki thakan badan ki thandak
Ehsaas se kab talak laho lay
Hathon main kahan sakat ke barh kar
Khud saakhta paykaron ko cholay.....

0 comments:
Post a Comment