Shagufta dil hain ke ghum bhi ataa bahaar ki hai
Gul hijaab hain sar main hawa bahhar ki hai,
Hujoom-e-jalwa-e-gul par nazar na rakh ke yahan
Jarahatoon ke chaman par rida bahaar ki hai,
Koi tu laala-e-khonain kafan se bhi pochay
Ye fasl chaak-e-jigar ki hai ya bahaar ki hai,
Main tera naam na loon phir bhi log pehchanain
Ke aap apna ta'aaruf hawa bahaar ki hai,
Shaad zakham abhi se Faraz kya karna
Abhi tu jaan meri ibtida bahaar ki hai.....

0 comments:
Post a Comment