Sitam gari ka har andaaz mujrimaana laga
Main kya karoon mera dushman mujhay bura na laga,
Har ek ko za'am tha kis kis ko nakhuda kehtay
Bhala howa ke safeena kinaray ja na laga,
Meray sukhan ka qareena dubo gaya mujhko
Ke jis ko haal sunaya usay fasana laga,
Beroon-e-dar na koi roshni na saaya tha
Sabhi fasaad mujhay androon-e-khana tha....

0 comments:
Post a Comment