Shaam ke ujaaloon main
Apnay narm haathon se
Koi baat achi si
Koi khuwaab sacha sa
Koi bolti khushboo
Koi sochta lamha
jab kabhi likhna chaho gay
Soch ke dareechoon se
Yaad ke hawaloon se
Mera naam chup chup kar
Tum ko yaad ayega
Haath kaanp jayenge
Shaam taher jayegi.....
Apnay narm haathon se
Koi baat achi si
Koi khuwaab sacha sa
Koi bolti khushboo
Koi sochta lamha
jab kabhi likhna chaho gay
Soch ke dareechoon se
Yaad ke hawaloon se
Mera naam chup chup kar
Tum ko yaad ayega
Haath kaanp jayenge
Shaam taher jayegi.....

0 comments:
Post a Comment