Suna tu hai ke nigaar-e-bahaar raah main hai
Safar bakhair ke dushman hazaar raah main hai,
Guzar bhi ja ghum-e-jaana-o-ghum-e-jahan se ke ye
Wo manzilain hain ke jin ka shumaar raah main hai,
Tameez-e-rahbar-o-rahzan abhi nahin mumkin
Zara taher kar bala ka ghubaar raah main hai,
Gard-e-kajkalhaan ko koi khabar tu karay
Abhi hujoom sar-e-rahgawaar raah main hai,
Na janay kab ka puhanch bhi chuka sar-e-manzil
Wo shaks jis ka humain intezar raah main hai,
Faraz agarchay karri hai zameen aatish ki
"Hazaar ha shajr-e-saaya daar raah main hai"....

0 comments:
Post a Comment