Ye Aur Baat...

Ye aur baat ke khud ko bahut tabah kiya
Magar ye dekh teray saath tu nibah kiya,

Ajab tabeeat-e-darwaish thi ke taj-o-takht
Usi ko soonp diya aur baadshah kiya,

Bisaat-e-aalim imkaan samait kar usnay
Khayal-e-dasht tamanna ko gard-e-raah kiya,

Mataa-e-deeda-o-dil sirf intezar hui
Teray liye teri aamad ko farsh-e-raah kiya,

Zameen pe jis nay jhukadi hain aasman ki hadain
Usi ne khaak nasheenon ko kaj kalaah kiya,

Bajuz khuda main kisi ko jaab dah tu nahin
So main ne apni khamoshi hi ko gawaah kiya,

Saleem us nay andhairoon se subh karni yhi
So din ko din hi rakha raat ko siyaah kiya...

By: Saleem Kausar

0 comments: