Aey dil-e-ishq zada
Raat kis dard ki deewar main chup chaap basar kar aye?
Aey dil-e-hijr zada
Dard dahleez nahin hai ke guzar ayen qadam dhartay howe
Jab chahain
Dard deewar hai
Deewar ke jis main har roz
Rooh chun deta hai muddat se bichra howa koi
Raat kis dard ke sahra main bita aye ho?
Aey dil-e-dhoop zada
Dard bas rait nahin hai ke usay rond kar aagay barh jayen
Dard sahra hai
Dahekta howa zaalim sahra
Paon par jaye jo ek baar tu jeevan jal jaye
Raat kis beetay howe ishq ki yaadon main bita aye ho?
Tum ke weeran kabhi aisay tu na thay
Tum ke khali kabhi aisay tu na thay
Tum ke bikhray kabhi aisay tu na thay
Aey dil-e-ishq zada....

0 comments:
Post a Comment