Talab main ya husool main, Talash kar mujhay kabhi
Kisi jhulastay pair ki kisi shikasta shaakh main
Barg main ya phool main, Talash kar mujhay kabhi,
Hijr raseedah khuwab ki, Aseer aankhon main dekh lay
Wo raah jis se guzar howa, unhi raasto main dekh le
Judaaeyoon ki dhool main, Talash kar mujhay kabhi,
Main aabla hoon karb ka, Main ek lamha hoon dard ka
Bhatak meri talash main, pukaar mujh ko ja ba ja
Ya khaar main babool main, Talash kar mujhay kabhi,
Main ek dua ka pahr hoon, main qismatoon ka zaaicha
main hoon ataa ka falsafa, lekin talab se ma wara
Rad main ya qubool main, Talash kar mujhay kabhi,
Main ek malal umr ka, main ek khayal zeest ka
Main ek guzishta naam hoon, bhalay dinon ki yaad main
Buray dinon ki bhool main, Talash kar mujahy kabhi,
Main zindagi ka raaz hoon, saleeqay se barat mujhay
Zabta-e-zeest main, ya falsafay ki aot main
Qawa'id-o-usool main, Talash kar mujhay kabhi....

By: Kanwal Shahab Ahmed

0 comments:
Post a Comment