Bharkaye Meri Piyaas Ko...

bharkaye meri pyaas ko aksar teri ankhain
sehra mera chehra hai , samandar teri ankhain

phir kon bhala dad-e-tabasam inhay daygA
roye gi bohat mujh say bichar kar teri ankhain

khali jo huwi sham-e-gareeban ki hatheli
kya kya na lutati rahien gohar teri ankhain

bojhal nazar atien hain bazahir mujhay lakin
khulti hain bohat dil main utar kar teri ankhain

ab tak meri ankho say mitaye nahi mitta
bhegi huwi sham ka ek manzar teri ankhain

mumkin ho to taza ghazal ek aur bhi kahlo
phir orrh na lain khuwaab ki chadar teri ankhain

main sung sift ek hi rastay par khara ho
shaied mujhay dekhay gi palat kar teri ankhain

yo dekhtay rahna isay accha nahi "Mohsin"
woh kanch ka paikar hai to pathar meri ankhain....

0 comments: