Hans Raha Hoon...

inteqaman hans raha hoon khoob ronay k liay..
woh qareeb anay lagay hain door honay k liay..

koi manay ya na manay ham ne jaana hai yehi..
dil tarrapnay k liay hai, aankh ronay k liay..

kya qayamat hai maseeha waar kar k chal diya..
or qaatil aa gaya hai zakhm dhonay k liay..

aaj tak yeh bhi na socha kiun huay ham dar-badar..
tujh ko panay k liay ya khud ko khonay k liay..

meri dunya door hi se dekhnay ki cheez thi..
aap nahaq aa gaye maghmoom honay k liay..

0 comments: