Wo Zindagi Ke Safar Main...

wo zindagee kae safar mein iss kadar masroof rahta hai
choota hai maye ko mager peenay sae darta hai

wo pyaar kae ahsaas ko mehsoos kerta hai
chata hai mujh ko mager panay sae darta hai

wo mehfil mein janay ki khuwaish to rakhta hai
nazar mein rakhta hai per deikhnay sae darta hai

wo meri kurbut ki takmeel to kerta hai
phelata hai haath per magnay sae darta hai

wo doston ko zindage ka mehvar samajhta hai
daeta hai un ko mager lenay sae darta hai

wo dusht kae safar mein tunha hi chalta hai
jheena to chahta hai mager zindagee sae darta hai

na chahtay huay bhi uss ko kaisay bhuladon RAJ
jo sagar ki khuwaish mein sehra ko tukta hai

0 comments: