Bhaley dinoo ki baat hay, bhalee si ek shakl the
Na yeh kay husn-e-aam ho, na dekhnay mein khaam si
Na yeh kay woh chaley to kehkashaan si guzr lagay
Magar woh saath ho to phir bhlaa bhlaa safar lagay
Koi bhe roop ho, us ki chup fiza ka rung-o-roop the
Woh garmiyoon ki chaoon the, Who sardiyoon ki dhoop the
Na muddatoon juda rahay, na saath sub-o-shaam ho
Na rishta-e-wafa pay zid, na yeh kay arz-e-aam ho
Na aise kush libasiyaan kay sadgi ginna karay
Na itnee bay takalufi kay aaeena haya karay
Na ikhtilaaf main woh dum kay bad-mizaj ho khuwahisheen
Na is qadr supurduge kay zich kareen nawazisheen
Na aashqi junoon ki kay zindagi azab ho
Na is qadr kuthoor pun kay dostee sarab ho
kabhi to baat bhe khafee, kabhee sukoot bhe sukhun
kabhi to khist-e-zafraan, kabhee udasiyoon ka bun
Suna hay aik umer hay muamlaat-e-dil ki bhe
wisal-e-jaan faza to kiya, firaq-e-jaan wasl ki bhe
So aik rooz kiya howa, wafa bay behs chirr gaee
main ishq ko amr kahoon, woh mere zid say chirh gaee
Main ishq ka aseer tha, woh ishq ko qafas kahay
kay umer bhar kay saath ko, woh bad taras hawas kahay
Shajr hajr nahi kay hum hamesha paba-gil raheen
Na dhoor hain kay rasiyaan, galay main mustaqil raheen
Tumharee sooch jo bhe ho, main is mizaj ki nahi
Mujhay wafa say bair hay, yeh baat ajj ki nahi
Na us ko mujh pay maan tha, na mujh ko us pay zaam kabhee
Jo ehd he koi na ho, to kiya hameen shikastagee
So apna apna raasta, hansi khushi badal diya
Woh apni raah chal pari, main apni raah chal diya

Ab us ki yaad raat din nahi magar kabhi kabhi

0 comments:
Post a Comment