Chalo aik nazm likhtay hain
kisi kay naam kartay hain
Magar yeh sochna hai abb
kay usme zikar kis ka ho?
Kay usme baat kis ki ho?
kay usme zaat kis ki ho?
Oor yeh be farz kartay hain
kay jis pay nazm likhtay hain
Hamain uss say mobhabat hai
hamaray saray jazbon ko bus ussi ki zarorat hai
Chalo aik kaam kartay hain
kay hum jo nazm likhtay hain
tumharay naam kartay hain
tumhi unwan ho iss ka
tumhara zikar he iss me
tumhari baat he iss main
tu phir yeh farz be hoga
Humain tumse mobhabat hai
hamary saray jazbon ko tumhari hi zarorat thi
Magar kya farz karnay say
kabhi aisa be hota hai
Kay jo hum farz kartay hain
haqeeqat mein be aisa ho
Magar yeh be tu mumkin hai
kay apni nazm ka jis ko
hum nay unwan banaya hai
ussay iss ki khabar na ho
hamari jo mohabbat hai
koi uss ki mohabbat ho
Or uss kay saray jazbon ko buss uski zarorat ho
chalo aisa he sahi
Magar phir be hamari nazm ka unwan tumhe ho
Humain tumse mohbabat hai
hamary jazbon ko sirf tumhari zarorat hai.......
kisi kay naam kartay hain
Magar yeh sochna hai abb
kay usme zikar kis ka ho?
Kay usme baat kis ki ho?
kay usme zaat kis ki ho?
Oor yeh be farz kartay hain
kay jis pay nazm likhtay hain
Hamain uss say mobhabat hai
hamaray saray jazbon ko bus ussi ki zarorat hai
Chalo aik kaam kartay hain
kay hum jo nazm likhtay hain
tumharay naam kartay hain
tumhi unwan ho iss ka
tumhara zikar he iss me
tumhari baat he iss main
tu phir yeh farz be hoga
Humain tumse mobhabat hai
hamary saray jazbon ko tumhari hi zarorat thi
Magar kya farz karnay say
kabhi aisa be hota hai
Kay jo hum farz kartay hain
haqeeqat mein be aisa ho
Magar yeh be tu mumkin hai
kay apni nazm ka jis ko
hum nay unwan banaya hai
ussay iss ki khabar na ho
hamari jo mohabbat hai
koi uss ki mohabbat ho
Or uss kay saray jazbon ko buss uski zarorat ho
chalo aisa he sahi
Magar phir be hamari nazm ka unwan tumhe ho
Humain tumse mohbabat hai
hamary jazbon ko sirf tumhari zarorat hai.......

0 comments:
Post a Comment