Jab Lagay Zakhm...

Jab lage zakhm to qaatil ko duaa di jaaye
hai yahi rasm to ye rasm uthaa di jaaye

tishnagi kuchh to bujhe tishnaalab-e-Gam ki
ek nadee dard ke shehron mein bahaa di jaaye

dil ka wo haal hua hai gum-e-dauraan ke tale
jaise ek laash chattaanon mein dabaa di jaaye

hum ne insaanon ke dukh dard kaa haal dhoondh liya
kya bura hai jo ye afwaah udaa di jaaye

hum ko guzree huee sadiyaan to na pehchanengi
aane waale kisi lamhe ko sadaa di jaaye

phool ban jaati hain dahake hue sholon ki laven
shart ye hai ke unhein khoob hawaa di jaaye

hum se poocho ghazal kya hai ghazal ka fan kya hai
chand lafzon mein koi aah chhupaa di jaaye.

0 comments: