Tum Meri Aankh Ke...

Tum meri aankh kay tewar na bhula paogay
Ankahi baat ko samjhogay to yaad aaonga

Hum nay khushyon ki tarah dukh bhi eikhttay dekhay
Safhah-e-ziest ko paltogay to yaad aaonga

Isi andaz mein hotay thay muKhatib mujh say
Khat kisi aur ko likhogay to yaad aaonga

Ab teray ashk main honton say chura leta hoon
Hath say khud inhay ponchogay to yaad aaonga

Aaj tum mehfil-e-yaraan pay ho maghroor bohat
Jub kabhi toot kay bikhrogay to yaad aaonga

Haadsay aaingay jewan mein to tum hoke nidhaal
Kisii dewaar ko thamogay to yaad aaonga

Is mein shamil hai meray bakht ki tareki bhi
Tum siyah rung jo pehnogay to yaad aaonga

0 comments: