Tumharay Zakhm Se...

Tumharay zakhm se hum dil ki duniya shaad rakhte han
Khazan ma bhi baharoun ki tarah aabad rakhte han

Kabhi lab pe dua, dil ma kabhi faryad rakhte han
Unhain maaloom kya hum unko kaise yaad rakhte hain

Takhaiyul ma ise Farhaad-o-Majnoon laa nahin sakte
Sitam de kar woh hum ko jis qadar na-shaad rakhte hain

Tumhare ik ishaaray par, woh ju-e-sheer bhi laa dain
Hazaroun mein hamee hain jo dil-e-Farhaad rakhte hain

Zamana be wafa kehta ha tumko hum nahin kehte
Isi andaaz se ab khud ko hum aazad rakhte hain

Saleeqa hi nahin gul ko parakhne ka jinhen ZAHID
Zaban par har gharri woh shikwa-e-bedaad rakhte hain

0 comments: