Usnay Kaha...

Usne kaha mujh se kitna piyar hai
Maine kaha sitaron ka koi shumar hai

Usne kaha ke kon tumhe hai bohat aziz?
Maine kaha dil per jjise ikhtiyar hai

Usne kaha ke konsa tohfa tumhain main doon
Maine kaha wo sham jo aub tak udhar hai

Usne kaha khizan main mulaqat ka jawaz?
Main ne kaha qurb ka matlab bahar hai

Usne kaha sainkron ghum zindagi main hain
Main ne kaha ghum nahi jub gham gusar hai

Usne kaha saath kahan tak nibhao gay
Maine kaha jitni ye sanson ki taar hai

Usne kaha mujhko yaqeen aaye kistarah
Maine kaha naam mera aitbaar hai.........

0 comments: