Aitbaar Na Karna..

Waqt-e-Rukhsat Woh Keh Gaye Intezaar Na Karna
Abb Lotney Pay Mairey Aitebaar Na Karna

So Baar Mara Hoon Dard-e-Judaai Mein
Wallah Kisi Per Jaan Nisaar Na Karna

Ye Faisla Kiya Hai Tootey Huwey Dil Ne
Kashti-e-Zindagi Per Kisi Ko Sawaar Na Karna

Hai Ye Mairi Guzarish Aey Jaaney Waaley
Jeetey Huwey Bandey Ko Murdaar Na Karna ...!

0 comments: