Apnay Hamraah..

Apne hamraah jo aate ho idhar se pehle
dasht padta hai miyaa'n ishq mein ghar se pehle

chal diye uth ke su-e-shehar-e-wafa ku-e-habeeb
pooch lena tha kisi khaak basar se pehle

ishq pehle bhi kiya hijr ka gham bhi dekha
itne tadpe hain na ghabraaye na tarse pehle

jee behalta hi nahi'n ab koi sa'at koi pal
raat dhalti hi nahi'n chaar pehar se pehle

hum kisi dar pe na thithke na kahee'n dastak di
saikado'n dar thhey meri jaan tere dar se pehle

chaand se aankh mili jee ka ujaala jaaga
hum ko sau baar hui subah sehar se pehle.

1 comments:

Ghalib Ayaz said...

Very fine Ghazal. I was in search of its first line.... everywhere it is omitted.(because of copying and pasting methods). You wrote it yourself. Thanks for sharing