haath aankhon pe rakh lene se khatraa nahin jaata
diwaar se bhuuchal ko roka nahin jaata
daavon ki taraazu mein toh azmat nahin tulti
fiite se toh qirdaar ko naapaa nahin jaata
farmaan se pedon pe kabhi phal nahin lagte
talwar se mausam ko badla nahin jaata
chorr apne gharon mein toh nahin naqab lagate
apni hi kamai ko toh luuta nahin jaata
auron ke khayalaat ki lete hain talaashi
aur apne garibaan mein jhaanka nahin jaata
faulaad se faulaad toh kat sakta hai lekin
kaanuun se kaanuun badla nahin jaata
tufaan mein ho naav toh kuch sabr bhi aa jaaye
saahil pe khade ho ke toh duba nahin jaata
dariya ke kinare toh pahunch jaate hain pyaase
pyasoon ke gharon tak toh dariya nahin jaata
Allah jise chahe usse milti hai "“Muzaffar”
izzat ko dukaanon se khariida nahin jaata

0 comments:
Post a Comment