Khuwahishay deed ko ab bus tera sahara hai
main mislay mauj hon aur to mera kinara hai
firaq lamhay bohat jaN guzeer hain yaro
wislay yar hai jiska hamain sahara hai
sukon aa gaya phir teez dharkanon ko meri
sukotay shub main tera naam jub pukara hai
wo neem baz nigahain Kiyae kharay hain magar
main janta hon unhain ..... Kis taraf ishaara hai
milai aisay nazar eid ho gai meri
na pooch lamhayae maujood kia nazara hai
hisabay zeest bajuz kuch nahi hai iskay siwa
tumhain nikal kay sochon to sub khasara hai
gulab galon ki surkhi na pochiyae (GUMAAN)
hamaray pyar nay unko bohat nikhara hai...

0 comments:
Post a Comment