Safar Ke Ghum..

Safar K gham ko kabhi na shumaar humne kia
to humsafar tha,Safar say bhi payar humne kia

Chalay thay Qafila le kar khare hain ab tanha
apne piyar ka sub pe hisaar humne kiya

Wo piyar aaj bhi hairaan dekhta hai mujhe
K jis k saye mai qol o qarar humne kiya

Hajoom-e-yaran tu sahil pe tha mager phir bhi
Bhanwer ka rasta kiyon ikhtiyar humne kia!

Kabhi tu aye ga duniya ko dhang mohabat ka
Is intizaar main kis kis se piyar humne kia

Bujhay chiragh main parkha tha dosti ko
Khud apni zaat pe kiyon aisa waar hum ne kiya

0 comments: