Veham Hoga Tu...

veham hoga toh usse log yakin keh denge
aasman ko giira denge, zamiin keh denge
apne maksad ke liye ahle-hawas, kya maloom
kisko gulfaam kise maahzabi keh denge !
umar bhar khul ke na ho payengi baaten bhaham
dono darte hain ki gaiiron se kahin keh denge
ab ke socha hai ki hum pooch hi daalenge sawaal
aur kya hoga bahut ! aap 'nahi' keh denge !
kaam hoga ki na hoga, ye toh jaane maalik
aap kehte hain toh hum apne tayin keh denge
aazmiesh ke mayyar se wakiff hum bhi
imtihaan sakht na loge toh humi keh denge
dil dimaag aur badan ke bhi tanaasub pe 'khayal'
vo khara utare toh, hum ussko hasin keh denge

0 comments: