Humain Aashiqui Main

hamen aashqui mein sach mila
hamen jindgi mein sab mila
magar bewafai ki aadatein
na tujhe mili na mujhe mili

udhar tu dua mein lagi rahi
idhar main dua mein laga raha
par mannaton se haajatein
thi aarzu kabhi saahilon pe
tere saath saath hum chal sake
par samandaron se izazatein
na tujhe mili na mujhe mili

jis zindgi ki khawhishon mein
soa rat'jagon mein sajood kiye
uss zindgi ki bashaaratein
hasraton ke diyon ko aag
kabhi tune di kabhi maine di
magar roshni ki alaamatein
na tujhe mili na mujhe mili

na toh tere dard ruke kahin
na mere zakhm bhare kabhi
sabar-o-shukar ki haalatein
teri manzilen kahin aur thi
meri manzile kahin aur thi
kisi ek simt ki musafatein
na tujhe mili na mujhe mili

tu thehar gaya kisi aur ke ghar
main ruk gaya kisi aur ke dar
man-pasand si chaahatein
hamari pur'khaloos niyaton
se manzilen kyun chin gayi !
muqaddaron se wazahatein
na tujhe mili na mujhe mili

0 comments: