Apni jolaan gaah zair-e-aasman samjha tha main
Aab-o-gul ke khel ko apna jahan samjha tha main,
Bay hijabi se teri tota nigahoon ka tilism!
Ek ridaye nailgon ko aasman samjha tha main,
karwaan thak kar faza ke paich-o-khum main reh gaya
Mahr-o-maah ko hum anaan samjha tha main,
Ishq ki ek jast ne tay kardiya qissa tamam
Is zameen-o-aasmaan ko bay garaan samjha tha main,
keh gaeen raaz-e-muhabbat parda daar-e-haye shoq
Thi faghan wo bhi jisay zabt-e-faghaan samjha tha main,
Thi kisi darmaanda rehro ki sadaye dard naak
Jis ko awaaz-e-raheel karwaan samjha tha main...

0 comments:
Post a Comment