Dost ban kar bhi nahin saath nibhanay walay
Wohi andaaz hai zaalim ka zamanay walay,
Ab usay log samajhtay hain gariftaar mera
Sakht naadim hai mujhay daam main lanay walay,
Kya kaheen kitnay marasim thay humaray us say
Wo jo ek shaks hai mun phair ke janay walay,
Teray hotay howay ajati hai dunya saari
Aaj tanha hoon tu koi nahin aanay walay,
Muntazir kis ka hoon tooti hui dahleez par main
Koun ayega yahaan, koun hai aanay walay,
Main ne dekha hai baharoon main chaman ko jaltay
Hai koi khuwaab ki ta’beer batanay walay,
Kya khabar thi jo meri jo meri jaan main ghula hai itna
Hai wohi mujhko sar-e-daar bhi lanay walay,
Tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhtay ho Faraz
Dost hotay nahin har haath milanay walay….

0 comments:
Post a Comment