Ye Batain...

Ye batain jhoti batain hain ye logon ne phelai hain
Tum Insha ji ka naam na lo Kya Insha Ji Sodai hain?

Hain lakhon rog zamanay main, Kyon ishq hai ruswa bechara
Hain aur bhi wajhain wahshat ki, insan ko rakhti dukhyara
Haan bay kul bay kul rehta hai, Ho peet main jis ne dil hara
Par shaam se le kar subah talak koun phiray ga awaara?

Ye batain jhoti batain hain ye logon ne phelai hain
Tum Insha ji ka naam na lo Kya Insha Ji Sodai hain?

Ye baat ajeeb sunatay ho, Wo dunya se be-aas howe
Ek naam suna aur ghash khaya, Ek zikr pe aap udaas howe
Wo ilm main aflatoon sunay, Wo shair main Tulsi das howe
Wo tees baras ke hotay hain, Wo BA MA pass howe

Ye batain jhoti batain hain ye logon ne phelai hain
Tum Insha ji ka naam na lo Kya Insha Ji Sodai hain?

Gar ishq kiya hai tab kya hai, Kyon shad nahi abad nahi
Jo jaan liye bin tal na sake, Ye aisi bhi uftad nahi
Ye baat tu tum bhi mano ge, Wo Qais nahi Farhad nahi
Kya hijr ka daaro mushkil hai? Kya wasl ke nuskhay yaad nahi?

Ye batain jhoti batain hain ye logon ne phelai hain
Tum Insha ji ka naam na lo Kya Insha Ji Sodai hain?

Wo larki achi larki hai, Tum naam na lo hum jaan gae
Wo jis ke lambay gaisu hain, pehchaan gae pehchaan gae
Haan saath humare Insha bhi uske ghar main thay mehman gae
Par us se tu kuch baat na ki, anjaan rahe anjaan gae

Ye batain jhoti batain hain ye logon ne phelai hain
Tum Insha ji ka naam na lo Kya Insha Ji Sodai hain?

Jo hum se kaho hum kartay hain. Kya Insha ko samjhana hai?
Us larki se bhi keh lainge, Go ab kuch aur zamana hai
Ya chorain ya takmeel karain, Ye ishq hai ya afsana hai?
Ye kesa gorakh dhanda hai, Ye kesa tana bana hai?

Ye batain jhoti batain hain ye logon ne phelai hain
Tum Insha ji ka naam na lo Kya Insha Ji Sodai hain???

By: Ibn-e-Insha.

0 comments: