Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahin imkaan jaana
Yaad tujh ko kya dilaen tera paimaan jaana,
Yunhi mousan ki adaa dekh ke yaad aaya
Kis qadar jald badal jatay hain insaan jaana,
Zindagi teri ata thi so naam ki hai
Hum ne jesay bhi basar ki tera ehsaan jaana,
Dil ye kehta hai ke shayad ho fasurda tu bhi
Dil ki kya baat karen dil tu hai naadan jaana,
Awwal awwal ki muhabbat ke nashay yaad tu kar
Bat piye bhi tera chehra tha gulistaan jaana,
Akhir akhir tu ye aalam hai ke ab hosh nahin
Rag-e-meena sulag uthi ke rag-e-jaan jaana,
Muddaton se yehi aalam na tawaqqu na ummeed
Dil pukaray hi chala jata hai jaana jaana,
Hum bhi kya saada thay hum ne bhi samajh rakha tha
Ghum-e-dooraan se juda hai ghum-e-jaana jaana,
Ab ke kuch aisi saji mehfil-e-yaaran jaana
Sar ba zaano hai koi sar ba garaibaan jaana,
Har koi apni hi awaaz se kaanp uthta hai
Har koi apnay hi saaye se haraasan jaana,
Jis ko dekho wohi zanjeer bapa lagta hai
Shahar ka shahar howa daakhil-e-zindaan jaana,
Ab tera zikr bhi shayad hi ghazal main aaye
Aur se aur howe dard ke unwaan jaana,
Hum ke roothi hui rut ko bhi mana laytay thay
Hum ne dekha hi na tha mousam-e-hijraan jaana,
Hosh aaya tu sabhi khuwaab thay raiza raiza
Jesay urtay awraaq pareshaan jaana....

0 comments:
Post a Comment