Mujhay Tumse Muhabbat....

Suno pyaray....?
Mujhay maloon hai aasan lagta hai
Tumhain raahain badal lena
Koi bhi mor mur jana
Kisi manzil ko thokar maar kar waapas chalay aana
Ya manzil ko faqat ek junbish-e-lab se
Bahut nazdeek lay aana
Mujhay maloom hai pyaray
Bahut aasan hai tum ko palat jana
Meri tum bay basi dekho
Mujhay tumsay muhabbat ke siwa kuch nahin aata
(Magar is main bhi kab koi qareena seekh pai main)
Ye dekho aankh rona chahti hai
Phir bhi banjar hai
Ye dekho haath kitnay sard hain meray
Ye dekho dil ki dharkan kis tarah
tarteeb kho kar dobnay ko hai
Ye dekho mera aanchal meray haathon se
Phisal kar udh gaya kab se
Ye dekho saans ki dorri bhi mujh se chootnay ko hai
Meray ehsaas ka resham ulajh kar tootnay ko hai

Mujhay tu ye hunar bilkul nahin aata

Ke kesay apnay zakhmoon ko chupatay hain?
Ya kesay dard ko darmaan banatay hain?
Ya kesay roothi saansoon ka
Daaman thaam kar wapas bulatay hain?
Bahut bay khuwaab aur weeran mousam main...
Khafa neendon ko kya keh kar manatay hain?

Mujhay ye hunar bilkul nahin aata

Ke kesay apnay marjaanay pe
Nohay aap kartay hain?
Ya apnay hi galay lag kar
Dilaasa kesay bantay hain?
Phir apni laash ko kesay....
Kisi pa yaab darya...
Ya kisi ki adh bujhi taaza cita main
jhoonk detay hain?
Ya phir aakaash ke neechay
khula hi choor detay hai?

Mujhay tu ye hunar bilkul nahin aata...

Ke kesay zard mousam main..
kisi bhi sard aur bay-dard mousam main
Khushi ka ek bhi ghuncha...
Bhala kese khilatay hain?
ya kesay aadhay rastay se gharoon ko
Lot jatay hain?
Mujhay bilkul nahin aata....

Mujhay tumsay muhabbat ke siwa
(Wo bhi kahan aai)

Koi .... Hunar... Bilkul... Nahin... Aata!!!!

By: Kanwal Hussain

0 comments: