Ajab paagal si larki hai
Mujhay har khat main likhti hai
Mujhay tum yaad kartay ho...?
Tumhain main yaad aati hoon?
Meri batain satati hain?
Meri neendain jagati hain..
Meri aankhain rulati hain?
December ki sunahri dhoop main ab bhi tahaltay hain?
Kisi khamoosh rastay se koi awaaz aati hai?
Taharti sard raaton main tum
Ab bhi chat pe jatay ho?
Falak ke sub sitaaron ko
Meri batain sunatay ho?
Kitabon se tumharay ishq main koi kami aai?
Ya meri yaad ki shiddat se aankhon main nami aai?
Ajab Paagal si Larki hai.....!
Mujhay har khat main likhti hain
jawaban... Usay kehta hoon...!
Meri masroofiyat dekho....
Subah se shaam office main chiraagh-e-umr jalta hai
Phir us ke ba'd dunya ki...
Ka'i majbooriyan paon main bairyan dal rakhti hain
Mujhay bay fikr chahat se bharay sapnay...
Nahin dikhtay
Tahalnay, Jaagnay, ronay ki muhlat hi nahin milti
Sitaron se milay ab arsa howa...
Naaraz hoon shayad
Farq itna para hai ab unhain arsay main parhta hoon
Tumhain kis ne kaha pagli
Tumhain main yaad karta hoon
Ke main khud ko musalsal bhulanay ki justujo main hoon
Magar ye justujo meri nakaam rehti hai
Meray din raat main ab bhi
Tumhari shaam rehti hai
Meray lafzon ki har maala
Tumaray naam rehti hai
Tumhain kis nay kaha pagli
Tumhain main yaad karta hoon
Puraani baat hai jo log aksar gungunaatay hain
Unhain hum yaad kartay hain....
Jinhain hum bhool jatay hain
Ajab paagal si larki hai.....!
Meri masroofiyat dekho
Tumhain dil se bhulaaon tu
Tumhari yaad aye naa...
Tumhain dil se bhulaanay ki mujhay
Fursat nahin milti
Aur is masroof jeewan main
Tumharay khat ka ek jumla...
Tumhain main yaad aati hoon???
Meri chahat ki shiddat main
Kami honay nahin deta
Bahut raatain jagata hai
Mujhay sonay nahin deta
So....
Agli baar khat main
Ye jumla nahin likhna
Ajab paagal si larki hai.....!
mujhay phir bhi ye likhti hai
Mujhay tum yaad kartay ho...?
Tumhain main yaad aati hoon?
Mujhay har khat main likhti hai
Mujhay tum yaad kartay ho...?
Tumhain main yaad aati hoon?
Meri batain satati hain?
Meri neendain jagati hain..
Meri aankhain rulati hain?
December ki sunahri dhoop main ab bhi tahaltay hain?
Kisi khamoosh rastay se koi awaaz aati hai?
Taharti sard raaton main tum
Ab bhi chat pe jatay ho?
Falak ke sub sitaaron ko
Meri batain sunatay ho?
Kitabon se tumharay ishq main koi kami aai?
Ya meri yaad ki shiddat se aankhon main nami aai?
Ajab Paagal si Larki hai.....!
Mujhay har khat main likhti hain
jawaban... Usay kehta hoon...!
Meri masroofiyat dekho....
Subah se shaam office main chiraagh-e-umr jalta hai
Phir us ke ba'd dunya ki...
Ka'i majbooriyan paon main bairyan dal rakhti hain
Mujhay bay fikr chahat se bharay sapnay...
Nahin dikhtay
Tahalnay, Jaagnay, ronay ki muhlat hi nahin milti
Sitaron se milay ab arsa howa...
Naaraz hoon shayad
Farq itna para hai ab unhain arsay main parhta hoon
Tumhain kis ne kaha pagli
Tumhain main yaad karta hoon
Ke main khud ko musalsal bhulanay ki justujo main hoon
Magar ye justujo meri nakaam rehti hai
Meray din raat main ab bhi
Tumhari shaam rehti hai
Meray lafzon ki har maala
Tumaray naam rehti hai
Tumhain kis nay kaha pagli
Tumhain main yaad karta hoon
Puraani baat hai jo log aksar gungunaatay hain
Unhain hum yaad kartay hain....
Jinhain hum bhool jatay hain
Ajab paagal si larki hai.....!
Meri masroofiyat dekho
Tumhain dil se bhulaaon tu
Tumhari yaad aye naa...
Tumhain dil se bhulaanay ki mujhay
Fursat nahin milti
Aur is masroof jeewan main
Tumharay khat ka ek jumla...
Tumhain main yaad aati hoon???
Meri chahat ki shiddat main
Kami honay nahin deta
Bahut raatain jagata hai
Mujhay sonay nahin deta
So....
Agli baar khat main
Ye jumla nahin likhna
Ajab paagal si larki hai.....!
mujhay phir bhi ye likhti hai
Mujhay tum yaad kartay ho...?
Tumhain main yaad aati hoon?

0 comments:
Post a Comment