Aey Kaash!!!
Main teray haseen haath ka kangan hota
Tu bade pyar se, Chau se Bade maan ke saath
Apni nazuk si kalai main charati mujhko
Aur bey-taabi se zarqat ke khazaan lamhon main
Tu kisi soch main dobi jo ghumati mujhko
Main teray haath ki khushbo se mahak sa jaata
Jab kabhi mood main aakar mjhe chooma karti
teray honto ki main jiddat se dahak sa jata
Aur jab kabhi mujhe pyar se tu dekha karti
Meray noor se apni aankhon ko khira karti
Raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati
Marmareen hathon ka ek takya banaya karti
Main teray kaan se lag kar kai batain karta
Teri zulfon ki ghataon main chamka karta
Aur teri zulfon ko tere gaal ko chooma karta
Jab bhi tu band qaba kholti lagti janan
Apni aankhon k teray husn se roshan karta
Mujh ko beytaab sa rakhta teri chahat ka nasha
Kaash!!!
Main tere haseen haath ka kangan hota
Main teri rooh ke gulshan main mahekta rehta
Main tere jism ke aangan main khanakta rahta
Kuch nahin tu ye benaam sa bandhan hota
Aey Kaash!!!
Main teray haseen haath ka kangan hota...

0 comments:
Post a Comment