Ek Shaks...

Sari duniya main meray ji ko laga ek hi shaks
Ek hi shaks tha ba-khuda ek hi shaks,

Darja-e-kufr sahi madh-e-jamal-e-jaana
Dil ki pocho tu khuda se bhi bana ek hi shaks,

Aisa lagta hai sabhi ishq kisi ek se thay
Aisa lagta hai mujhay milta raha ek hi shaks,

Wo jo main uski muhabbat bhi kisi aur se ki
Un dino shaher ka har shaks laga ek hi shaks,

Main tu ishq teri kooza gari jaanta hoon
Tu ne hum do ko milaya tu bana ek hi shaks,

Mujh say naraz na hona meray achay logo!
Kya karoon meri muhabbat ne chuna ek hi shaks,

Tu jo kehta teray jesay ka'i aur bhi hain
Tujh ko da'wa hai tu phir khud sa dikha ek bhi shaks,

Tu jisay chahta hai main bhi usay chahta hoon
Acha lagta hai mujhay teray siwa ek hi shaks,

Dost sub se kahan khinchta hai ghazal ka chilla
Hujra-e-Meer main hota hai sada ek hi shaks...

0 comments: